Sunday, July 27, 2008

Qaseedah-E-Mairaj






Jo Arsh Par Jalwaagar Huey
This Na’at Is Composed In The Memory Of “Me’raaj Sharif”.


Woh Sarwar E Kishware Risalat Jo Arsh Par Jalwagar Hue The
Naye Nirale Tarab Ke Saaman Arab Ke Mehman Ke Liye The.

Bahar Hai Shadia Mubarak Chaman Ko Aabadiya Mubarak
Malak Falak Apni Ha-y May Ghar Anadil Ke Bolte The.

Wahan Falak Per Yahan Zamin May Rachi Thi Shadi Machi Thi Dhoome
Udhar Se Anwaar Haste Aate Idhar Se Anwaar Ooth Rahe The.

Ye Choot Padti Thi Unki Rukh Ki Arsh Tak Chandni Thi Chitki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aaine The.

Nayi Dulhan Ki Faban May Kaaba Nikal Ke Sawra Sawar Ke Nikhra
Hajar Ke Sadqe Oos Ek Til May Rang Lakho Banav Ke The.

Nazar May Dulha Ke Pyare Jalwe Haya Se Mehrab Sar Jhookaye
Siyah Parde Ke Mooh Par Anchal Tajalli Zate Bahat Ke The.

Khushi Badal Umad Ke Aaye Dilo Ke Taaoos Rang Laye
Woh Nagma E Naat Ka Samaa Tha Haram Ko Khud Wajda Aa Rahe The.

Ye Jhooma Mizabe Zar Zoomar Ke Aa Raha Kaan Per Dhalak Per
Foohar Barsi To Moti Zadhkar Hatim Ki Gaud May Bhare The.

Dulhan Ki Khoosbu Se Mast Kapde Nasim E Gustakh Anchlon Se
Gilaf E Mushqee Ood Raha Tha Gazal Naafe Badha Rahe The.

Pahado Ka Woh Husne Taj-ai Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqi
Saba Se Sabza May Lehre Aati Dupatte Dhani Chune Hue The.

Nahake Nehro Ne Woh Chamakta Libas Aabe Rawan Ka Pehna
Ki Mauje Chadiya Thi Dhaar Lachka Habab E Taaba Ke Thal Take The.

Purana Purdag Malgaja Tha Ootha Diya Farsh Chandi Ka
Hamare Dil Huriyo Ki Ankhe Firishto Ke Par Jahan Biche The.

Khuda Hi De Sabr Jaan E Purgam Dikhaoo Kyun Kar Tuje Woh Alam
Jab Unko Jhoormut May Leke Qudsi Jinna Ka Dulha Bana Rahe The.

Utar Ka Unke Rukh Ka Sadqa Woh Noor Ka Bar Raha Tha Bada Ke
Ke Chand Suraj Machal Machal Kar Jabin Khairat Mangte The.

Wohi To Abb Tak Chalak Raha Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane May Gira Tha Pani Katore Taaro Ne Bhar Liye The.

Bacha Jo Talwo Ka Unke Dhowan Bana Woh Jannat Ka Rang Rogan
Jinhone Dulha Ki Payi Utran Woh Phool Gulzare Noor Ke The

Khabar ye Tehwile Maher Ki Thi Ki Rut Sunhani Ghadi Firegi
Wahan Ki Poshak Zebe Tan Ki Yahan Joda Badha Chuke The.

Tajalli E Haq Ka Sehra Sar Par Salato Taslim Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Pare Jama Kar Khade Salami Ke Waaste The.

Jo Hum Bhi Woh Hote Khaq E Gulshan Lipat Ke Qadmon Se Lete Utran
Magar Kare Kya Nasib May To Ye Namuradi Ke Din Lekhe The

Abhi Na Aaye The Pushte Zeen Tak Ki Shar Hui Magfirat Ki Shallak
Sada Shafaat Ne Di Mubarak Gunah Mastana Jhoomte The.

Ajab Na Tha Raksha Ka Chamakna Gizal E Dam Khurdasa Bhadakna
Shua-e Bukke Ooda Rahi Thi Tadapte Ankho Ke Sa-iqe The.

Hujume Ummid Hai Ghatao Murade Dekar Inhe Hatao
Adab Ki Baage Liye Badhao Malaika May Ye Gulgule The.

Oothi Jo Garde Rahe Munawwar Woh Noor Barsa Ke Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangal Ubal Rahe The.

Burraq Ke Naqso Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilaye Ki Sare Raste
Mahakte Gulban Mahakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The.

Namaze Aqsa May Tha Yahi Seer Ayan Ho Maana Awwal Akhir
Ki Dastbasta Hai Piche Hazir Jo Slatanat Aage Kar Gaye Thi.

Ye Unki Aamad Ka Dabdaba Tha Nikhar Har Shay Ka Ho Raha Tha
Nujomo Aaflaq Jamo Mina Ujalte The Khangalte The.

Naqab Oolte Woh Mehre Anwar Jalalo Rukhsar Garmiyo Per
Falak Ko Haibat Se Tap Chadi Thi Tapakte Anjum Ke Aable The.

Ye Joshise Noor Ka Asar Tha Aabe Gohar Qamar Qamar Tha
Sifaye Reh Se Fisal Fisal Kar Sitare Qadmon May Laut-te The.

Badha Ye Lehra Ke Behre Wehdat Ke Ghul Gaya Naame raige Kasrat
Falak Ke Tilo Ki Kya Haqeeqat Ye Arsho Kursi Do Bulbule The.

Woh Jille Rehmat Woh Rukh Ke Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate
Sunahri Zarbaft Udi Atlas Ye Than Sab Dhoop Chaoon Ke The.

Chala Wo Sarde Chamaan Khirama Na Ruk Saka Sidra Se Daaman
Palak Japakti Rahi Woh Kab Ke Ino Aan Se Guzar Chuke The.

Jalak Si Ek Qudsiyo May Aayi Hawa Daman Ki Fir Na Payi
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat May Hosh Hi Gaye The.

Thake The Ruhul Amin Ke Bazoo Choota Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummid Tuti Nigah E Hasrat Ke Walwale The.

Ravish Ki Garmi Ko Jisne Socha Dimag Se Ek Bhabooka Futa
Khirad Ke Jangal May Ek Fool Chamka Dahar Dahar Ped Jal Rahe The.

Jilo May Jo Murge Aqla Oode The Ajab Boore Haalo Girte Padte
Wo Sidrah Hi Per Rahe The Thak Kar Chada Dam Tewar Aa Gaye The.

Qavi The Murgane Waham Ke Par Oode To Oodne Ko Aur Dam Bhar
Oothai Seene Ki Aisi Thokar Ki Khoone Andesha Thookte The.

Suna Itne May Ye Arsh e Haq Ne Kaha Mubarak Ho Taajwale
Wohi Qadam Khair Se Fir Aaye Jo Pehle Taaje Sharaf Tere The.

Ye Sunke Bekhud Pukar Ootha Nisar Jaoo Kahan Hai Aaqa
Fir Unke Talwo Ka Paoo Bosa Ye Meri Ankho Ke Deen Fire The.

Juka Tha Mujre Ko Arshe Aala Gire The Sajde May Bazme Baala
Ye Ankhe Qadmon Se Mal Raha Tha Wo Girde Qurban Ho Rahe The.

Ziyae Kuch Arsh Per Aayi Ki Saari Qindile Jagmagayi
Huzur e Murshid Kya Chamakte Charag Mooh Apna Dekhte The.

Yahi Samaa Tha Ke Paike Hazrat Khabar Laya Ke Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada Hai Woh Jo Kalim Per Band Raste The.


Qari Ho AHMED (SallahoAlayheWasslam) Qarib Aa Sarwar e Mammajad
Nisar Jaoo Woh Kya Nida Thi Ye Kya Sama The ye Kya Maze The.

Tabarakallah Ye Shan Teri Tuji Ko Zaiba Hai Beniyazi
Kahi To Joshe Lantarani Kahin Takaze Visal Ke The.

Khirad Se Keh Do Ke Sar Jhooka Le Guma Se Guzre Guzarnewale
Pade Hai Yahan Khud Jihat Ko Laale Kise Bataye Kidhar Gaye The.

Surag Ino Mataa Kahan Tha Nishan Kaifo Ila Kaha Tha.

Udar Se Payham Taqaze Aana Idhar Se Mushkil Qadam Badhana
Jalalo Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubharte The.

Badhe To Lekin Jijakte Darte Haya Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pe Rakhte To Lakho Manzil Ke Faasle The.

Par Unka Badhna To Naam Ko Tha Haqeeqatan Fa-el Tha Udhar Ka
Tanzzulo May Tarakki Afza Dana Tadalla Ke Silsile The.

Hua Na Akhir Ki Ek Bajra Tamavvze Behre Hoo May Ubhra
Dana Ki Godi May Unko Lekar Fana Ke Langar Ootha Diye The.

Oothe Jo Qasre Dana Ke Parde Koi Khabar De To Kya Khabar De
Wahan To Ja Hi Nahi Dui Ki Na Keh Ki Wo Hi Na The Arey The.

Woh Baag Kuch Aisa Rang Laya Ki Gunchao Gul Ka Farq Oothaya
Girah May Kaliyo Ke Baag Foole Gulo Ke Takme Lage Hue The.

Muhito Markaz May Fark Mushkil Rahe Na Faasil Khutute Wasli
Kamane Hairat May Sar Jhookaye Ajib Chkkar May Dayre The.

Hijab Oothne May Lakho Parde Har Ek Parde May Lakho Jalwe
Ajab Ghadi Thi Ki Waslo Furqat Janam Ke Bichde Gale Mile The.

Zabane Sukhi Dikha Ke Moje Tadap Rahi Thi Ki Pani Paye
Bhanvar Ke Zu-afe Tashnagi Tha Ki Halqe Ankho May Pad Gaye The.

Wohi Hai Awwal Wohi Akhir Whi Hai Batin Wohi Hai Zaahir
Oosi Ke Jalwe Oosi Se Milne Oosi Se Ooski Taraf Gaye The.

Kaman e Imakan Ke Joote Nukto Tum Awwal Akhir Ki Pher May Ho
Muhit Ki Chal Se To Poocho Kidhar Se Kidhar Gaye The.

Idhar Se Thi Nazra Sah Namaze Idhar Se Iname Khushravi Thi
Salamo Rehmat Ke Haar Gundh Kar Gulue Purnur May Pade The.

Zaban Ko Intezar Guftan To Gaush Ko Hasrate Sunidan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Soon-ni Thi Sun Chuke The.

Woh Burje Batha Ka Mahpara Bahisat Ki Sair May Sidhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara Ki Is Qamar Ke Qadam Gaye The.

Surure Maqdam Ki Roshni Thi Ki Tabisho Se Mahe Arab Ki
Jinna Ke Gulshan The Jaad Farsi Jo Phool The Sab Kanval Bane The.


Tarab Ki Naazis Ke Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Ki Hil Na Sakiye
Ye Joshe Ziden Tha Ke Poude Kashakashe Arrah Ke Tale The.

Khuda Ki Qudrat Ki Chand Haq Ke Karoro Manzil May Jalwa Karke
Abhi Na Taare Ki Chaoo Badli Ki Noor Ke Tadke Aa Liye The.

Nabi E Rehmat Shafi E Ummat RAZA Pe Lillah Ho Inayat
Ise Bhi Unn Khalato Se Hissa Jo Khas Rehmat Ke Waan Bate The.

Sana e Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Tamanna
Na Shayri Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kya Kaise Kafiye The.





0 comments:

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Tufaile La'alshah Zari Rahe, Nazre karam Ya La'alshah Dulha